Sunday, 5 February 2012

darde mohabat ne jeene ka saleekha sekha diya mujhko,
zahar ko dva banake ke peena sikha diya mujhko.

raat kaise kaati jaati hai taaroin ko  gin gin kar,
kisi ki yaad me jagna sikha diya mujhko.

raat kaali nahi dekhi uske kajal se zyada,

Monday, 2 January 2012

Bachpan the golden period

Har pal aik nai talaash ,
Har shai aik naya khazaana hota hai.

Full masti ho jaha,wo bas bachpan ka zamaana hota hai.

Saib ,tamatar ,aalu hote hai sab khilone unke,
aasma ka hasi chaand bhi unka maama hota hai.

Full masti ho jaha ,wo bas bachpan ka zamaana hota hai.

Gana ho chahe koi sa bhi,
Thumka sab pe aik sa lagaana hota hai.

Full masti ho jaha ,wo bas bachpan ka zamaana hota hai.

                                                          Dunya ki har bahaar pheeki,
                                                          Yaaro is bahar ke aage.

                                                          Sab ka hukam fail hai,
                                                          Bas unke hukam ke aage.

Puri baadshahat ka jaise bas yehi zamaana hota hai.
Full masti ho jaha,wo bas bachpan ka zamaana hota hai.