Nahin ishq mein iska tau ranj hamen ke qarar-o-shakeb zara na raha,
Gham -e-ishq tau apna rafiq raha, koi aur apni bala se raha na raha.
Diya apni khudi ko jo hum ne mita ,wo jo parda sa beech me tha na raha,
Parde mein ab na wo pardah nashin koi dusra uske siva na raha.
Na thi haal ki jab hame apni khabar, rahe dekhte auron ke aib-o-hunar,
Pari apni buraion par jo nazar,tau nigah koi bura na raha.
Hamen sagir-o-bada ke dene mein kare der jo saki tau haye ghazab,
Ke ye ahd-e nishat,yeh daur-e-tarab, rahega jahan me sada na raha.
Lage yun to hazaaron hi teer-e-sitam, ke tarapte rahe paare khak pe hum,
Wale naaz-o-karishma ki tegh-o-do-dum,lagiaisi ke tasma laga na raha.
Kai roz me aaj woh mahe-e-laqa, hua mere jo samne jalwa numa,
Mujhe sabr-o-karar rara na raha, use paas-o-hijab-o-haya na raha.
Zafar aadmi usko na janyega,woh ho kitna hi sahib-e-fahm-o-zaka.
Jise aish me yaade-e-khuda na rahi,jaise taish me khauf-e-khuda na raha.